Sunday 20 May 2012

Koo Ba Koo Phail Gai Baat Shanasai Ki



ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki





kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki





wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki





tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki





us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki





abhi bersat ke raton main badun totta hai

jag uthti hain ajab khuwahishin Ungerai ki

Thursday 3 May 2012

is qadar musalsal thi Shiddatein Judai Ki


Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aaj pahali bar main ne us se bewafai ki

Warana ab talak yun tha khwahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

Taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat main
aaj un se majburan taza ashanai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnawai ki

Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puche hum ne kya burai ki

Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna uda dega phir khabar rihai ki
Ahmad Faraz