Saturday 28 April 2012

Azmat-e-zindagi ko bech diya...


Azmat-e-zindagi ko bech diya
ham ne apni khushi ko bech diya
chashm-e-saqi k ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya
rind jam-o-subu pe hanste hain
shaikh ne bandagi ko bech diya
rahguzaron pe lut gai radha
sham ne bansuri ko bech diya
jagmagate hain wehshaton k darya
aql ne adami ko bech diya
lab-o-rukhsar ke iwaz ham ne
sitwat-e-khusrawi ko bech diya
ishq behrupiya hai ai 'Sagar'
ap ne sadgi ko bech diya

bat phulon ki suna karte the...


bat phulon ki suna karte the
ham kabhi sher kaha karte the
mashalen leke tumhare gam ki
ham andheron mein chala karte the
ab kahan aisi tabiyat wale
chot kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-muhabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the
bikhri bikhri zulfon wale
qafile rok liya karte the
aj gulshan mein shaguf-e-sagar
shikawe bad-e-saba se karte the

Zindagi Ka Har Pal Be-Qaraar Rehta Hai...


Zindagi Ka Har Pal Be-Qaraar Rehta Hai,,
DIL Ko Tum Se Milne Ka Intizaar Rehta Hai,,

Jab Bhi Bheege Lamhoon Ka Aks Jhilmilaata Hai,,
Hum Ko Dil MOHABBAT Ki Roshni Dikhaata Hai,,

Un Haseen Shaamoon Mein Khushnuma Rangoon Se,,
DIL Tumhaari Yaadoon Ki Mehfilein Sajaata Hai,,

Dil Fareeb Mousam Ki Chaandni Si Raatoon Mein,,
Khuwaaishoon Ka Jugnu Kitna Jagmagaata Hai,,

Ab To Laut Aao Na DIL Tum Hi Chahta Hai,,
Aankhoon Ke Kinaaroon Par Pyaar Simath Aata Hai

کہاں سے لائیں ہر روز ایک نیا دل...




کہاں سے لائیں ہر روز ایک نیا دل
حسن والوں نے تو اندھیر مچا رکھا ہے

میں دشمنوں میں ہوں کہ تیرے دوستوں میں ہوں...



میں دشمنوں میں ہوں کہ تیرے دوستوں میں ہوں

مجھے سے گریز پا ہے تو ہر راستہ بدل !
میں سنگ راہ ہوں تو سبھی راستوں میں ہوں

اے یار خوش دیار تجھے کیا خبر کہ میں
کب سے اداسیوں کے گھنے جنگل میں ہوں

تو لوٹ کر بھی اہل تمنا کو خوش نہیں
میں لٹ کے بھی وفا کے انہیں قافلوں میں ہوں

بدلا نہ میرے بعد بھی مو ضو ع گفتگو
میں جا چکا ہوں پھر بھی تری محفلوں میں ہوں

مجھ سے بچھڑ کر تو بھی روئے گا عمر بھر
یہ سوچ لے کہ میں بھی تیری خوائشوں میں ہوں

خود بھی مثال لا لہ صحرا لہو لہو
اور خود فراز اپنے تماشیوں میں ہوں

Lagta Hy Jesy Tang Hy Tu Merey Wajood Sey...


Lagta Hy Jesy Tang Hy Tu Merey Wajood Sey

Ay Zindagi..... Tujh Ko Bhi Ijazat Hy Chorr Ja.

Deewane Be-Haal Bohath...



دیوانے بے حال بہت
قدم قدم پہ جال بہت
پیار مخبت کال بہت
اور اسی عالم میں سائیاں
گزر گئے ھیں سال بہت
۔
سائیاں میری راتیں گم
ساون گم ،برساتیں گم
لب گم گشتہ، باتیں گم
تنہائی گم،جھاتیں گم
جیون کے اس صحرا میں
سب جتیں ،سب ماتیں گم
،
سائیاں میرا درد گھٹا
سائیاں میرے زخم چھپا
سائیاں میرے عیب چھپا
سائیاں کوئی نوید سنا
اتنے کالے موسم میں
سائیاں اپنا آپ دکھا

Sarsari Zikr CHala Ishq Main...


Sarsari Zikr CHala Ishq Main Mar Janay Ka
Ab Usay Zid Hai Ke, Tum Mar Ke Dikhao...

Chale Ho Saath...

nazuk mizaaji dekhye to mery yaar ki.....


nazuk mizaaji dekhye to mery yaar ki.....

payal jo pehni paaoun mein to chum chum sy darr geya

Harf,e,tasalli kao...


Harf,e,tasalli kao ik takaluf hai..

Jiss kaa dard..bss usi kaa dard..

Ae Kash Zindgi Mai Dobara Na Wo Mukaam Aye...


Ae Kash Zindgi Mai Dobara Na Wo Mukaam Aye
Tere Yad Aye Par Labo Pe Na Tera Naam Aye………..

Karte Rahe Intzaar Ta-Umar Tere Loutne Ka.
Tere Loutne Ka Na Mujhtak Kabhi Paigaam Aye…………….

Hai Badnaam Teri Chahato Mai Yeh Begana
Tujhpe Kabhi Meri Mohobbat Ka Na Ilzam Aye…………………

Dil Mai Hi Reh Jaye Tujhse Milne Ko Yeh Hasrat
Tujhse Ho Saamna Dobara Na Kabhi Wo Shaam Aye…………….

Ae Kash Zindgi Mai Dobara Na Wo Mukaam Aye……….

Tu Misar ke Bazaar Ka...


Tu Misar ke Bazaar Ka Bichhra Hua YOUSAF Ke,
Dil Tere Bina Manind-e-YAQOOB Raha Hai...

chehray ka nisf hissa zair e naqab kar kay...


chehray ka nisf hissa zair e naqab kar kay..
karty hain hussan waly dedar mein milawat..

Qaaim Hein Es Zamaney...


Qaaim Hein Es Zamaney Mein Rishwatoon K Silsily,
Tum Bhi Kuch Ley Dey Kar Mujh Sy Mohabbat Karlo............

Saza Aisi Mili Mujh Ko...


Saza Aisi Mili Mujh Ko , Zakham Ese Lagay Dil Par

Chupaata Tou Jigar Jata , Sunaata Tou Bikhar Jata

kisi ka dard jab hadh say guzar jata hai...


kisi ka dard jab hadh say guzar jata hai,
Samandar ka pani bhi aankhon mein utar aata hai,
Koi bana leta hai rait per ghar,
Aur kisi ka sab kuch lehron mein bikhar jata ha

Boht makhsoos dilon ko...


Boht makhsoos dilon ko ishq k ilhaam hote hain
mohbat mojza hae!mojze kab aam hote hain?

Mat kar kisi say piyar itna k...


Mat kar kisi say piyar itna k
wo piyar teri zindgi ban jaye DOST


Tu ye kasiye bhool gaya k zindagi
kabhi kci say wafa ni krti

Mere dil ka dard kis ne dekha he...


Mere dil ka dard kis ne dekha he
Humein to tarapta sirf rab ne dekha ne he
Hum tanhai mein beth kr rooty hain
Logon ne to bas humein aksar hanste dekha he

Tuesday 24 April 2012

Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein...


" Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein "

Tha ishq jawaaN in aankhoN mein
They khwaab ravaaN in aankhoN mein

Milte huey dekha phir, un ko
Phir, un ki judaai dekhi thi
Tha zabt nehaaN in aankhoN mein
Rehti thi dua in honToN par
Milne ka gumaaN in aankhoN mein

Phir, aas ko marte dekha tha
Tha zabt jahaaN in aankhoN mein
They ashk ayaaN in aankhoN mein

Phir, jal k bujhe diye ashkoN k
Phirta tha dhuaaN in aankhoN mein

Ab waqt hua un baatoN ko
Un subhoN ko aur un raatoN ko
Mujh mein jo sulagta rehta ho
Aaisa to nahi hai ab kucH bhi !

CHaai hai amaaN in aankhoN mein
Par neend kahaaN in aankhoN mein...!!!

* * * * * * * * *

Kab talak shab kay andhairay ...


Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay

na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai FAYSAL
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko ...


Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna

Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda FAYSAL Tujh Ko
Jo Rawish Hai Qatiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

Aao hum mil kar ek naya ...


Aao hum mil kar ek naya Jahan Banain 
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain 

Jahan Mohabbat ka Raaj ho 
Sar Par Khushi ka Taj ho 

Zindagi pay na Khauf tari ho 
Hifazat aik doojy ki Zimaydari ho 

Nafrat ki Jahan Ghuttan na ho 
Zindagi jahan Kathin na ho 

Chalo mill kar iss Khwab ki tabeer Dhondhain 
Iss Jahan mein Mohabbat ki Jaggir dhondhain 

Aao hum mill kar ek naya Jahan Banain 
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain

apni marzi se kahan...


apni marzi se kahan apne safar ke hum hain 
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain 

Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai 
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain 

Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak 
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain 

Chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb 
Sochte rehte hain ki kis raahguzar ke hum hain 

Gintiyon mein hi giney jaate hain har daur mein hum faysal
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain

apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy...


apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy
lamha lamha mujhe ehsas-e-ziyan hota hy,

koi hota hy jo karta hy kahin pay sazish,
ter ki pusht pay qirdar-e-kaman hota hy,

bhool jana usay muskil tu nahi hy laykin
kam assan bhi magar hum say kahan hota hy,

main nay dekha hy kisi khuf ka khadsha dil main
raat k pechlay pehar barh kay jawan hota hy,

dil main hoti hy baharon ki kasak bhi laykin,
is k hisay main magar khuf-e-khizan hota hy......!!

Tujh ko khabar nahi...


♥ Tujh ko khabar nahi magar ek saada sun le___!!! 

♥ Barbaad ker diya teray do din k pyaar nay___!!!

Dil he tau hey na Sang-o-Khez...


Dil he tau hey na Sang-o-Khez* Dard say bhar naa aaye kyun
Royengey hum hazaar baarKoi humei sataye kyon

Deir* nahi,Haram* nahi, Dar nahin aasta nahi
Bethey hey hum rehguzar pay hum Geir humey uthaye kyon

Jab wo jamaal-E-Dilfaroz* Suuratey mehrey neemroz
Aap he ho nazara soz* Pardey mei munh chupaye kyon

Qeidey hayaato* bandey* gham Asal mei dono eik hey
Maut say pehley aadmi Gham say nijaat paaye kyon

Husn or uspay Husn-e-zan* Rah gayi bul hawas* ki sharam
Apney pay etimaad hey Gair ko aazmaye kyon

Haan nahi who KhudaParast Jao wo Be-wafa he sahi
Jiska Ho deen-o-dil azeez Uski gali mei jaaye qyo

‘Ghalib-e-Khasta’ key bager Konsay kaam band hey
Roeye zaar zaar kya Kijiye Hi Hi kyon

AANKHAIN KHULI RAHAIN GI TOH MANZAR BHI AYENGAI...


AANKHAIN KHULI RAHAIN GI TOH MANZAR BHI AYENGAI!!--

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi -- magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Waleed* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai...

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de...


Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de 
Wo tiiragii hai ke ab Khawaab tak dhikhaaii na de 


Bohat sataate hain rishte jo toot jaate hain 
Khudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashanaaii na de 


Main saarii umr andheron main kaat saktaa huun 
Mere diiyon ko magar roshnii paraaii na de 


Agar yahii terii duniiyaa kaa haal hai Maalik 
To merii qaid bhalii hai mujhe rihaaii na de 


Duaa ye maangii hai sehame huay mu'arrik ne 
Ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnaaii na de 

********************

mUjhay HairatOn Say hAi WaSta...


mUjhay HairatOn Say hAi WaSta Meray Dil Ka Qissa Ajeeb hAi
jO Visaal rUtt Mein BiChr Gaya wO tO jAan Say Bhi Qareeb hAi

mUjhay hOsh Tha tO Khabar Na Thi Main jUnOo Mein Tha tO Pata Chala
wO jO Meray Dil Ka MakeeN hAi wOhii Jism o jAan Ka HaSeeb hAi

tUjhay jAnta Bhi Nahien kOii Mera Harf hAi mOa'atbir 
tUjhay Zar Mila mUjhay ShOratien Yeh Bhi Apna Apna NaSeeb hAi

mUjhay kOn tUjh Say Rehaaii Dey mUjhay Apna Aap Dikhaii Dey
Meray Dil Mein Ab Bhi Gharii hOii Terii AarzOo Ki Saleeb hAi

Main mUhabbatOn Ka Safeer hOn Mera Kaam KhUsbOo Bikhairna
Nahien Is Say kOii Bhi mUaamla K wO dOor hai Ya Qareeb hAi

mUjhay Zindgii Mein SakOon Milay Yahii AarzOo hAi Meray KHUDA
mUjhay Teergii Say Nijaat Dey K tOo rOshnii Ka NaQeeb hAi.......

Dushman ko bhi seenay...


Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !


Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !


Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !


Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !



Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay ! 






******************************************************************

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni...


Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya, 
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya, 

Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi, 
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya, 

Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha, 
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya, 

Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka, 
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya, 

Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai, 
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya, 

Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai, 
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya...

Wo kehta hai usay muj say payar nahi hai...

Wo kehta hai usay muj say payar nahi hai Wo go her pal mery intazare main rehta hai Wo go her pal mery sath rehta hai Wo go apnay hataoon per mery naam ki mehndi legata hai Wo go mery liay sanwarta hai khud ko Wo jis nay mery sath k liay sub ka sath choor diya Wo jis ke sansan mery liay chalti hain Wo go mujay khud say zayada cahahta hai Wo go khud say zayada mera khayal rakhta hai Wo gis ke nazar her pal mujay talash kerti hain Wo gis ke sansan yah soch ker ruknay lagti ha k ma kehi ja reha hoon Wo gis ke ankhon mein sirf mery hi tasveer hai Wo gis ke ankhon ma sirf mera hi sapna hai Wo gis k labo pa sirf mera hi naam hai Wo go khud ko mujay sonpna cahta hai Wo go kehta ha mery Akhri sans bhi tumhary liay hai Wo go yah chata hai hamsha mery banhoon mein reahy Wo go meri kushi ko apni kushi ganta hai Wo go mery dukh ko apna dukh manta hai Main to janta hoon usay muj say payar hai Mughr wo phir bhi yahi kehta hai Usay muj say payar nahi hai Na janay wo kyun kehta hai Usay muj say payar nahi hai

Ghum Sum howa aawaz ka darya tha...


Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs

Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks

Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs

Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs

Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs

Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs

Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs

Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs

Munkar hai wohee ab meri pehchan ka faysal
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs..

Hijr ka taara doob chala hai...


Hijr ka taara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi


Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi


Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi


Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi


Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi


Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat " WASI "...!!

Tu hai gar mujh se khafa khud se...


Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi
mujh ko pehchan ke teri hi ada hoon main bhi

sabt hoon dast-e-khamoshi pe hina ki soorat
na-shunida hi sahi tera kaha hoon main bhi

mujh ko paana ho to har lamha talab kar na mujhay
raat ke pichhlay pahar maang du'a hoon main bhi

jaanay kis raah chaloon kaun se rukh murr jaoon
mujh se mat mil ke zamaanay ki hawa hoon main bhi

pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja ...


pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja
aey mairay khaab naey bastee kay raston main utar ja

tujh ko paa lain na kaheen dasht kay weeraanay yeh
chaand ban kar tuu samandar ki hi lehron main utar ja

har taraf dhond rahee hain tujhey zaalim si khizaain
aks-e-khushbu main badal aur meri sanson main utar ja

jin ki khatir koe suraj hi nahin chamka kabhi
chandni raat main tu unn kay dareechon main utar ja

tuu "Behar Zaad" hai " Parwarda-e-Khurseed" na ban
tuu key dhal rait main sahil ki gharondon main utar ja

woh jo larkee tujhey dehleez pay miltee hai rozana
raat ka rang pehan uss kay hi baloon main utar ja

pairahan ourhh lay masoom si ek khahish ka
ban key aa taiz hawa us kay dupatton main utar ja

tuu rida dhaanp lay khush rang gulaboon ki tarha
zaiqa ban kay sanwar chupkay say honton main utar ja

tuu sanwar qous-e-qazah ki tarha aflaak say aa
uss key aanchal kay mehaktay huey rangon main utar ja

uss kay kamray ki puranee kissi khirkee say nazar kar
ek ghazal ki tarha faysal kay khiyaloon min utar ja

Yeh hadain na tourr dainaa...


Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa
Mujhey apney dil mein rakhnaa, meray haafzzey mein rehnaa

Meray mazaroun mein bassnaa, meri guftugoo mein hounaa
Meray lamss mein samaana, meray zaaiqey mein rehnaa

Kabhi dhoop kay nagar mein,mera saath chhour jaana
Kabhi meraa akss ban ker meray aainey mein rehnaa

Kabhi manziloun ki soorat, meri dastarass sey baahir
Kabhi sang-e-meel ban ker meray raastey mein rehnaa

Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chammkain
Meri khwaahishoun ki khushboo meray zaaichey mein rehnaa



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~ *~*

Ajeeb shaks thaa woh...


Ajeeb shaks thaa woh....

fana key saray dars usko yaad rehtey they
usi keiy dam sey yeh maqtal abad rehtey they
jou badnaseeb they woh baamurad rehtey they
woh apny houn ya parayey houn shad rehtey they

ajeeb shaks thaa woh.......

sarab rutt mein, woh qafley kaa rahbar bhee
woh meri ho yaa teri, zindgi kaa mehwar bhee
shab kaa chand bhee woh, aur subh ka khawar bhee
junoun ki dastan ka awal bhee aur akhir bhee

ajeeb shaks thaa woh.......

woh raigzaron mein ik shajr-e-sayadar bhee thaa
kisi kaa dost na thaa ur sab ka #### bhee thaa
tamam shehar jiski mahabat k qaarzdar bhee thaa
dukhee dilon key leeay aakhiri pukaar bhee thaa

ajeeb shaks thaa woh.......

woh nafratoan mein bhee mahabatain lutata raha,
naabeena shehar mein beenaiiyan ganwata raha
shehar bhar mein deeay khoon se jalata raha
haye afsos magar woh bhee jaan se jata raha

(Haye woh shaks Jaan sey jaata rahaa.....!!! )

woh marr key bhee jou hey zinda ajeeb baat nahi
gou yeh bhee taiy hey kisi shay ko bhee sabat nhi
woh jisko aata hou yeh funn key woh dilon mein raahey
jou khud hou tanha magar sari mehfilon mien raahey
woh aik shaks jisey mohsin kaha hey dunya ney,
yeh sach hey bas wohi mohsin thaa sari dunya ka

ajeeb shaks thaa woh.......
mien kya kahon ajeeb shaks thaa woh
mujhey to lagta hey
shayad keiy moshin-e-waqt thaa woh...!!!

Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain...


Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain,
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain !



Woh paas baithay to aaatee hai dilruba khushboo,
Woh apnay hothon pay khilta gulab rakhtay hain !



Har ik wark mein tum hi tum ho jaan-e-mehboobi,
Hum apnay dil ki kuch aaisee kitab rakhtay hain !



Jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee dey,
Hum apni aankh mein kitnay Chenab rakhtay hain !



Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain,
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain !

kisi ki AaNkh jo pur-nam nahiN hai...


kisi ki AaNkh jo pur-nam nahiN hai
na samjho yeh keh us-ko GHam nahiN hai

savaad-e dard maeN tanhaa khaRaa hooN
palaT jaa'ooN magar mausam nahiN hai

samajh maeN kuch nahiN Aataa kisi ki
agarcheh guftugu mubham nahiN hai

sulagtaa nahiN tareek jaNgal
talab ki lau agar madhdham nahiN hai

yeh basti hai sitam parvardigaaN ki
yahaaN ko'ie kisi say kam nahiN hai

kinaarah doosraa daryaa ka jaisay
woh saathi hai magar mehram nahiN hai

dilooN ki raushni bujhnay na daenaa
vujood-e teergi mohkam nahiN hai

maiN tum ko chaah kar pachtaa rahaa hooN
ko'ie is zaKhm kaa marham nahiN hai

jo ko'ie sun sakay ~faysal~ to dunyaa
bajuz ik bazgasht-e GHam nahiN hai

Sub Kuch Waar Doonga Tujh Per Hans Hans Kar main...


Sub Kuch Waar Doonga Tujh Per Hans Hans Kar main.
Na Waroon To Bewafa Be Murawaat Be Qadar main.

Is Qadar Chahatoon Ki Parchaiyaan Tjhe Doonga,
k Dhoop Pal Na Aigi Tujhe per Pori Umer Main.

Taroon Ki Zia Chura Kar, Chanda Ki Roshni Se,
Sub Sukh LIkh Doonga Peshani-e-Mehboob per main,

Teri Raah K Pathroon Per Main Khud Let Jaonga.
De Jaonga Sukoon Tere Qadmoon Ko Janewafa Mar Kar main.

Sub k Sub Khush Honge, Teri Khushi k Manzar main.
Itni Duain Dejaonga, Tujhe Jholian Bhar Bhar main.

Kabhi Na Tu Udas Hona, Raigaan Hojaigi Zindagi Meri.
"FAYSAL" Us k Bina Dil Chahe Abhi k Abhi jaon Mar Main.

MERI RAUNAQ TU PEHCHAN HAI TU...


MERI RAUNAQ TU PEHCHAN HAI TU
MERI ZINDAGI TU EEMAAN HAI TU
BIN TERE BE RANG DUNIA SARI
EK SANS LENA BHI KITNA BHARI
YEH ROH-O-JISM BEKAR HAIN SAB
MERE JEENE KA SAMAAN HAI TU

HER LAFZ TERA TAQDEER HAI MERI
MERA HER KHAYAL TASVEER HAI TERI
SARE AZEEZ GAIR HAIN LAGTE
EK MERA APNA MEHMAAN HAI TU

NA MAIN BEWAFA NA MAIN BEQADAR
GUNAHGAR HOON MUJH KO HAI KHABAR
MERI NEKION KA SILA HAI TU
MERE RAB KA EHSAAN HAI TU

TISHNA GAR TUJHE BHOOL JAI
USI PAL MAIN ISAI MAUT AAI
TUJHE BADNAAM KAISE KARTA GUL
MERI IZAT TU GIRABAAN HAI TU

AE DOST ZINDAGI MAIN AISE PAL BHI AAI HAIN...


AE DOST ZINDAGI MAIN AISE PAL BHI AAI HAIN
HUM NE LAL-O-GOHAR AUR YAQOOT BHI THUKRAI HAIN
US KI KHUSHI KI KHATIR GUNGUNANA ADAT BANI
MUSEEBATOON K TOFANOON MAIN BHI HUM MUSKIRAI HAIN
RATOON KO KISI K SANG HUM NE EK LAMHE MAIN BITA DIA
APNE HI GHAR MAIN KAI BAAR HUM CHOR BAN KER AAI HAIN
SIWA US K PAL KATINA BARI BAAT HOTI THI
KHUDA NE HUM KO HIJR K SAU BARAS BHI DIKHAI HAIN
HUMAIN UDAS DEKH KER AKSAR WO ROOTTH JATA THA
AAJ USI DILBER NE ASHKOON K SAMANDER RULAI HAIN
TISHNA USE CHAHTE REHNA SOCHOON TO NADANI HAI
MAGAR KIA KAROON JITNA BHULAYA UTNA WO YAAD AAI HAIN

KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI...


KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI
MERA JISM TO MAUM HAI BAHAR NIKLOON TO PIGHAL JAI
TEZ RASTOON KI DOOR MAIN RUKA TO MAIN GIR JAONGA
TEZ DORA TO HATH TERA HATHOON SAI MERE NIKAL JAI
AAJ KHAMOSHI KUCH ZIADA HAI, AUR RAUSHNI KUCH KUM
AAJ AGAR TU AAJAI TO MAUSAM SARA BADAL JAI
MERE WASTE INTZAAR MAIN WO KAI DINOON SAI UDAAS HAI
JHOTI MAGAR BATAIN KARO SHAYAD YEH DIL BEHAL JAI
EK PARWANE K JAISI ZINDAGI MERI BAN GAI AB
GAR DOOR RAHE TO TARPE AUR PAAS AAI TO JAL JAI
WO AAIGI WO AAIGI AFWAIN AISI PEHLAO K DIL
BOHAT DINOON SAI UDAAS HAI HO SAKTA HAI MACHAL JAI
TISHNA WO BAWAFA HAI TU AAI MERE SAMNE EK PAL
DIL JALA HAI AAJ BOHAT SHAYAD YEH AANKH UBAL JAI

MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI...


MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI
KHUDARA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

CHAUTI PIYARI AANKHOON MAIN ASHKOON K SAMANDER
DEKHOON TO CHUBHNE LAGTA HAI DIL MAIN KOI KHANJAR
MERI SARI KHUSHION KO UN MAIN TU BANT DE
UN K SARE GUMOON KO DAMAN MAIN MERE CHANT DE
KHUDARA MAN LE ILTAJAIN SARI
YA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

KISI KO MOHABBAT MAIN DUKH NA MILE
AASHIAN KISI KA AB NA JALE
SAB K ASHKOON KO MERI AANKHOON MAIN BASA DE
SAB KI RAHOON K KANTE MERE SEENE MAIN CHUBHA DE
AUR YOUNHI RAKH TU SARA KARWAAN JARI
YA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

KISI KO BHI ROTE MAIN DEKH NAHIN SAKTA
KAMZOOR DIL HAI MAGAR PHENK NAHIN SAKTA
SAB K GUNAHOON KI MUJH KO SAZA DE
JEHANUM SAI KHUDARA SAB KO BACHA LE
PASAND HAI GUNAHOON KO HUM KO BOJH BHARI
MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI

MAZLOMOON PER SITAM MAIN DEKH RAHA HOON
SURKH AANKHAIN NUM MAIN DEKH RAHA HOON
TISHNA MUSALMANI TERI KAHAN PE KHO GAI
EEMAN KI SEHAR HAI KAHAN PE SOO GAI
HI MUHAFIZ LOOT RAHA HAI KHUD HI SAWARI
MUJHE KAR DE KHUDARA TU MAUT TARI

kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho...


kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho
baat itni bhi na bardh jaye k ruswai ho

doobnay walay to ankhon say bhi kab niklay hain
doobnay k leay lazim nahen gehrai ho

jis nay bhi mujh ko tmasha sa bna rkha hay
ab zaruri hai wohi shakhs tmashai ho

main tujhay jeet bhi tohfay main nahen day sakta
chahta ye bhi nahen hoon tri paspai ho

aaj to bazm main har ankh thi purnam jaisay
dastaan meri kisi nay yahan dohrai ho

koi anjaan na ho shehr_e_mohabbat ka makeen
kaash har dil ki har ik dil say shnasai ho

yun guzar jata hay faysal tray koochay say
tera waqif na ho jesay koi sodai ho

Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab...


Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab
Aur Kea Dikhlaye Gee Taqdeer Ab

Khud He Chal Kar Aa Gia Zindaan Tak
Kea Karo Gay Khawb Ki Tabeer Ab

Ae Maseeha! Jo Tri Baaton Main Thee
Dil Tlak Pohnchi Hay Wo Taseer Ab

Haye Ik Aahat Nay Phir Chonka Dea
Bolnay Wali Thee Wo Tasveer Ab

Seedha Meray Dil He Par Aa Kar Lgay
Aakhri Tarkash Main Hay Jo Teer Ab

Aur Kuchh Panay Ki Hasrat He Nahen
Mil Gaye Hay Pyar Ki Jageer Ab

sochataa huu.N ki muhabbat hai suruur-e-mastii...


sochataa huu.N ki muhabbat hai suruur-e-mastii
isakii tanviir me.n raushan hai fazaa-e-hastii

sochataa huu.N ki muhabbat hai bashar kii fitarat
isakaa miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai
sochataa huu.N ki muhabbat se hai taabi.ndaa hayaat
aap ye shamaa bujhaa denaa bahut mushkil hai

sochataa huu.N ki muhabbat pe ka.Dii sharte.n hai.n
ik tamaddun me.n masarrat pe ba.Dii shart.en hai.n

sochataa huu.N ki muhabbat hai ik afasurdaa sii laash
chaadar-e-izzat-o-naamuus me.n kafanaa_ii hu_ii
daur-e-sarmaayaa kii rau.ndii hu_ii rusavaa hastii
daragah-e-mazahab-o-iKhlaaq se Thukaraa_ii hu_ii

sochataa huu.N ki bashar aur muhabbat kaa junuu.N
aisii bosiidaa tamaddun se hai ik kaar-e-zabuu.N

sochataa huu.N ki muhabbat na bachegii zi.ndaa
pesh-az-vaqt kii sa.D jaaye ye galatii hu_ii laash
yahii behatar hai ki begaanaa-e-ulfat hokar
apane siine me.n karuu.N jazb-e-nafarat kii talaash

Monday 23 April 2012

Tujhse Milne Ka Kuch Yu Intzar Rehta Hai...


Tujhse Milne Ka Kuch Yu Intzar Rehta Hai 
Pal Pal Yeh Dil Ab Bekrar Rehta Hai 
Har Chahre Mai Dikhta Hai Ab Bas Tera Hi Chahra
Dil-E-Pagal Ko Kuch Yu Khumaar Rehta Hai 
Yado Mai Bhi Nahi Basta Koi Or Is Begane ki….
Kuch Is Tarha Yado Pe Tera Ikhtiyar Rehta Hai 

Tujhse Milne Ka Kuch Yu Intzar Rehta Hai ……………………

Yun Hi To Palkon Py...


Yun Hi To Palkon Py Yakoot Nahi Awaezaaan....?

Kuch To Hai, Jo Mery Seenay Main Pigalta Ho Ga..

Zamin ne asman se kaha...


Zamin ne asman se kaha,


Suraj ne jahan se kaha

Chand ne rat se kaha,

OR.


Main ne apse kaha,


.*""*.*""*.
* I MISS *
"*. You .*"
*

Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua...


Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua
mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua
ajal men, zist mein turabat men, hashr mein zalim
tere sitam ke liye main hi intakhab hua
nigah-e-mast ko saqi ke kon de ilzam
mera nasib ki rusava mera shabab hua
hamare ishq ke das-bis ne bhi dad na di
kisi ka husn zamane mein intakhab hua
fana ka dawa hazaron ko tha zamane mein
habab ne mujhe dekha to aab-ab hua

Suno....Koi...


Suno....Koi Raasta Batana 
MOhabbat Se Wapasi Chahiye...

Ajeeb Ehtiyaat Dekhi Hia...


Ajeeb Ehtiyaat Dekhi Hia 
Ainay Se Hijaab Karte HO....

Ab To Karlijiye Sama'at Qissa-e-Ishq...


Ab To Karlijiye Sama'at Qissa-e-Ishq MEER Ka
AAH Tak To Aa Gaya Hai Mukhtasir Kartay Kartay....

Laakh Chehra...


Laakh Chehra Sahi Chand Jesa ..
Dil k Kaaalon se Allah Bachaaye...

Wo Apni Neendon Ki Khumari...


‎'Wo Apni Neendon Ki Khumari Men Mera Haal Tak Na Pooch Saky..?
Mery Ansuon Ki Tip Tip Ko Wo Barish Samajh K So Gaye..!'

Boht Muddat Ke Baad Kal Jab...


Boht Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMo Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska NaaM Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,
Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
TuMhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main...

Humein us sher ke Qatil...


Humein us sher ke Qatil ka pta tu nai
Magr Lashon sy sy andaza hota he ke Qatil pe Jawani thi......

Ho qaid-e-maqami...


Ho qaid-e-maqami to natija hey tabahi 
Reh behr main azad sorat-e-mahi

masjid to bana di shab bhar main...


masjid to bana di shab bhar main eeman ki hararat walon ne
mann apna purana paapi tha barson main namazi ben na saka

Koyi andaaza kar sakta hai...


Koyi andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka
Nigaah-e-mard-e-momin se badal jaatee hain taqdeerain

Yaqeen muhkam amal....


Yaqeen muhkam amal paiham mohabbat faateh-e-aalam
Jehaad-e-zindagaani mein yeh hain mardon ki shamsheerain

Patthar ki moorton mein...


Patthar ki moorton mein samjha hai tu Khuda hai
Khaak-e-watan ka mujh ko har zarra daivta hai

Dunya ki mehfilon se ukta gaya...


Dunya ki mehfilon se ukta gaya hoon yaa Rab
Kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua...


Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi Toh Zameen se aaney Lagi Sada
Tera DiL toh hai Sanam Aashna..Tujhey Kya Milega Namaaz Main

Ai taayir-e-laahooti...


Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi
Jis rizq se aati hai parvaaz mein kotaahi

Paani paani kar gayee...


Paani paani kar gayee mujh ko qalandar ki ye baat
Tu agar maira nahi banta na ban apna to ban

Ki MUHAMMAD say wafa too nay...


Ki MUHAMMAD say wafa too nay to hum tere hein
ye jahan cheez hay kia loh-o-qalam tere hein

Hazaron saal nargis apni...


Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai
bardi mushkil say hota hay chaman mein deedawar paida

Jis khait say dehqan...


Jis khait say dehqan ko mayassar na ho rozi
us khait kay har khosha-e-gandum ko jala do

Butoon se tujh ko...


Butoon se tujh ko umeedein khuda se na umeedi
mujhe batta tu he orr KAFIRI kia hai?

Zabaan sey gar kiya...


Zabaan sey gar kiya tauheed ka dawa to kya hasil
Banaya hay Bute pindaar ko apna khuda tuney"