Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aaj pahali bar main ne us se bewafai ki
Warana ab talak yun tha khwahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki
Taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat main
aaj un se majburan taza ashanai ki
Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnawai ki
Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puche hum ne kya burai ki
Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna uda dega phir khabar rihai ki
Ahmad Faraz
0 comments:
Post a Comment