Friday 8 June 2012

Maine Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janaan


Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janaan
Jaisy Mehtab Ko Be.ant Samandar Chahey
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utrey
Jaisy Khushboo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahey


                                                           Jaisy Pathar Ke Kalaije Se Kiran Phootti Hai
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangtey Hein
Jaisy Khuaboun Mein Khyaloun Ki Kaman Tootti Hei
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein


Mera Her Khuwab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat.E.Deed Ne Tujh Se Teri Khuahish Ki Hei
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hei


Khahish.E.Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamanon Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Utarti Hoi Subhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne


Mein Ne Chaha Ke Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehekti Jaey
Mein Ne Chaha Ke Mere Fun Ke Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon Ke Gulabon Se Mehakti Jaey



                                                         Tey To Ye Tha Ke Sajata Rahy Lafzon Ke Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish Ke Jazeeron Me Tabasum Tera


Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Tu Bhi
Chara.E.Zakham, Gham.E.Deeda.E.Tar Kar Na Saki


Tujh Ko Ehsas Hi Kab Hai Ke Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hei
Tuu Ke Seemab Tabiyat Hei Tujhy Kiya Maloom
Mousam.E.Hijar Thehar Jaey To Kiya Hota Hai


Tu Ne Us Morr Pe Torra Hei Taluq Ke Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He Ke Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yaad Aaye Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mange Ga Tere ehad.E.Mohabbat Ka Hisaab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janaan
Youn Mere Dil Ke Barabar Tera Ghum Aya Hei
Jaisy Sheeshy Ke Muqabil Koi Pathar Janaan


Jaisy Mehtab Ko Be.Ant Samandar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

0 comments:

Post a Comment