Sunday 10 June 2012

Uthaani Hain Jo Nafrat Ki Utha Diwar Bismillah


Uthaani Hain Jo Nafrat Ki Utha Diwar Bismillah..! 
Meri Sachi Mohabbat Se Tu Kar Inkar Bismillah..! 

Kaha Usne Meri Khatir Yeh Koh-E-Ghum Uthao Gy.? 
Jawab'n Hum Bhi Bol Uthy Mere Dildar Bismillah..! 

Jahan Ko Chorh Kar Hum Jab Tery Kochy Mein Aa Bethy 
To Phr Sang-E-Molamt Se Q Inkar Bismillah..! 

Pujari Zar K Ho To Hath Mein Sach Ka Aalam Q Hy.? 
Agr Mansoor Ho To Phir Ye Sang-O-Dar Bismillah..! 

Humen To Ahid-E-Ulfat Ko Qiyamat Tak Nibhana Hy.! 
Wo Rehta Hy Agr Hum Se Rahe Bezar Bismillah. 

Kaha Usne Mujhe"MOHSIN" Sar Tera Qalam Kar Dn. 
Mo'Adb Ho K Keh betha mere Sarkar Bismillah...'

Friday 8 June 2012

Maine Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janaan


Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janaan
Jaisy Mehtab Ko Be.ant Samandar Chahey
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utrey
Jaisy Khushboo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahey


                                                           Jaisy Pathar Ke Kalaije Se Kiran Phootti Hai
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangtey Hein
Jaisy Khuaboun Mein Khyaloun Ki Kaman Tootti Hei
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein


Mera Her Khuwab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat.E.Deed Ne Tujh Se Teri Khuahish Ki Hei
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hei


Khahish.E.Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamanon Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Utarti Hoi Subhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne


Mein Ne Chaha Ke Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehekti Jaey
Mein Ne Chaha Ke Mere Fun Ke Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon Ke Gulabon Se Mehakti Jaey



                                                         Tey To Ye Tha Ke Sajata Rahy Lafzon Ke Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish Ke Jazeeron Me Tabasum Tera


Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Tu Bhi
Chara.E.Zakham, Gham.E.Deeda.E.Tar Kar Na Saki


Tujh Ko Ehsas Hi Kab Hai Ke Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hei
Tuu Ke Seemab Tabiyat Hei Tujhy Kiya Maloom
Mousam.E.Hijar Thehar Jaey To Kiya Hota Hai


Tu Ne Us Morr Pe Torra Hei Taluq Ke Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He Ke Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yaad Aaye Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mange Ga Tere ehad.E.Mohabbat Ka Hisaab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janaan
Youn Mere Dil Ke Barabar Tera Ghum Aya Hei
Jaisy Sheeshy Ke Muqabil Koi Pathar Janaan


Jaisy Mehtab Ko Be.Ant Samandar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Thursday 7 June 2012

Beniyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Vafaa Ho Jaanaa


beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dilrubaa Sa


barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa

Badan Main Aag Si Cheharaa Gulaab Jaisaa Hai


badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

Aise Chup Hain Ke Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaise


aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise

apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise

manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise

kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

Ab Naye Sal Ki Mohlat Nahin Milne Wali


ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon wale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon wale

zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon wale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahin ab k gulabon wale

Ab Kis Ka Jashn Manate Ho Us Des Ka Jo Taqsim Hua


ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui

us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main

in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain

un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main

ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye

Ab Ke Tajdid-E-Wafa Ka Nahin


ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana

yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana

dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana

akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana

muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana

ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana

har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana

jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana

ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana

ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana

hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana

Ab Ke Ham Bichhare To Shaayad


ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa


aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

aashiqii be-dilii se mushkil hai


aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai
ishq aaGaaz hii se mushkil hai
ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaar
sabr karanaa abhii se mushkil ha
ie liye
dushmanii dostii se mushkil hai
_ii usii se mushkil hai ek do duu
jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n bevafa asare se sahel na jaan har ko_ii har kisii se mushkil hai
vaapasii us galii se
[sahel=approachable] tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
mushkil hai 

Sunday 20 May 2012

Koo Ba Koo Phail Gai Baat Shanasai Ki



ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki





kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki





wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki





tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki





us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki





abhi bersat ke raton main badun totta hai

jag uthti hain ajab khuwahishin Ungerai ki

Thursday 3 May 2012

is qadar musalsal thi Shiddatein Judai Ki


Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aaj pahali bar main ne us se bewafai ki

Warana ab talak yun tha khwahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

Taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat main
aaj un se majburan taza ashanai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnawai ki

Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puche hum ne kya burai ki

Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna uda dega phir khabar rihai ki
Ahmad Faraz

Saturday 28 April 2012

Azmat-e-zindagi ko bech diya...


Azmat-e-zindagi ko bech diya
ham ne apni khushi ko bech diya
chashm-e-saqi k ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya
rind jam-o-subu pe hanste hain
shaikh ne bandagi ko bech diya
rahguzaron pe lut gai radha
sham ne bansuri ko bech diya
jagmagate hain wehshaton k darya
aql ne adami ko bech diya
lab-o-rukhsar ke iwaz ham ne
sitwat-e-khusrawi ko bech diya
ishq behrupiya hai ai 'Sagar'
ap ne sadgi ko bech diya