Monday 23 April 2012

Har shayari ka jawab ho...


Har shayari ka jawab ho,
Yeh to koi zaroori to nahin,
Har sawal ka jawab ho,
Yeh koi zaroori to nahin,
Har dard ki dawa ho,
Yeh bhi koi zaroori to nahin,
Smajhane wale mil jayein,
warna zindagi bekar hi nahin!

tum baat karo kuch is tarah,
dil mein ghar kar gaye eis tarah,
…..kahein kya ab yeh sonchte hain,..
apne aapko tumhari jagah rakhar,
ab pehchaan banrahein kuch eis tarah!

Leja leja to apne sang,
Khushiyon ka bhandar,
Rahana saath jab to wazah,
Kya hui bahar ki!
Khushiyon ka daaaman to sabhi pakte hain,
Rah jaati hain yaadein,
Dil ki tadap hi intezaar hai bas,
Kehtein hai ise dillagi!

Bina tere ek pal bhi,
nahin deti kya yeh saza,
kayamat hai ki chaa jao,
warna saza hai yeh, mohabatt ka nasha!

0 comments:

Post a Comment